Thursday, July 21, 2005

Ishq Talabb hai Arzoo Bhi


Ishq Talab hai Aarzoo bhi
Zeher bhi hai Zindagi Bhi

Ishq Kalish hai Ummeed bhi
Samanddar bhi hai lehr bhi

ishq Aandhi hai chiraag bhi
Safar bhi hai manzil bhi

Ishq Daastiyaab hai Payaab bhi
Registan bhi hai Daryaa bhi

Ishq Daagh hai Aabroo bhi
Badnaam bhi hai Roshan bhi

Ishq Toofan hai Bahaar bhi
Kashti bhi hai Jahaan bhi

Ishq Tanhaii hai Humsafar bhi
Khwab bhi hai Aasman bhi

Ishq Andhera hai Raah bhi
Besabri bhi hai Intezaar bhi

Ishq Junoon hai Misaal bhi
Daastaan bhi hai Haqeeqat bhi

Ishq Sazaa hai Dua bhi
Hazaar-maut bhi hai Ghuroor bhi

Ishq muflisi hai Zeenat bhi
Ashk bhi hai Taqdeer bhi

Ishq Haal-e-dil hai Jamaal bhi
Qaatil bhi hai jawaan bhi

Ishq Tabaahi hai Jazb bhi
Faslaa bhi hai , Hul bhi

Ishq Naqaab hai Saltanat bhi
Saraab bhi hai, "Shiraaz" bhi

Ishq Nazar se hai, Salaam se bhi
Ishq Aah se hai Qalam se bhi
Kalaam se hai Dil se bhi......

1 Comments:

At 4:32 PM, July 22, 2005, Blogger Qais Mujeeb said...

Aape ne ye kya kar daala
Ishq ko qalamband kar daala

bahut khoob, Bahut aala
bahut umda, Janab-e-aala

 

Post a Comment

<< Home